C0lLeECT BY
ALI IMRAN QADRI
PoeT
HABIB ULLAH SARIM
.
.
.
Jahan Har Soo Sharyat Ka Ujala Ho Waha Chaliye
Muslman Ne Jahan Quran Sanbala Ho Waha Chaliye
Guwarnar Poore Soobe Ka Jahan Sadqe Ka Talib Ho
Jahan Har Rizaq Jayez Ka Niwala Ho Waha Chaliye
Jahan Qad.Ghan Na Lagti Ho Koi Haq Bat Kehne Par
Jahan Lab Par Na Majbori Ka Tala Ho Waha Chaliye
Khara Ho jaye Haqam Ban K Mulzam rooaba.roo Qaazi
Jahan mayar.E.Insaf Esa Aala Ho Waha Chaliye
Waha Chaliye jahan Mazloom Ki Hoti Ho Dil Doyi
Jahan Insaniyat Ka Bol Bala Ho Waha Chaliye
Jahaan Izat Na Luth.ti Ho Sar.E.Bazar Urat Ki
Jahaan sharm.O.Haya Ka Muon Na Kala Ho Waha Chaliye
.
Zara Dekhe To Chal K Kesa Maskan Tha Qadeem Apna
Jahaan Se Noow.E.Adam Ko Nikala Ho Waha Chaliye
Jahaan Mujrim Kare Iqbal.E.Juram Israar Kr Kr K
Nizam.E.Tarbiyat Esa Nirala Ho Waha Chaliye
Jahaan Diwaar Ban Kr Muslhat Aarhe Na Aa Jaye
Jahaan Har Shakhs Tarik Jesa Paala Ho Waha Chaliye
Jahaan Jagmgaye Roshni Ilam.O.Irfan Se
Shrafat Jahaan Norani Hala Ho Waha Chaliye
Jahaan Sarim Gulami Ho Na Insano Par
Jahaan Ikhlaki Qadroon Ko Na Uchala Ho Waha Chaliye
And
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya